Saturday, December 17, 2011

jawaab ka bhooka . . . . . tera dimaag mera dimaag ?

aye khaali dimaag !!!!
tujhse hai ye iltazaa ki
kabhi to . . . . kabhi to . . .
to mujhe akleaa chor diya kar.
jab dekho naye naye kathin
sawaalo ke saath mere
sar par aa baithta hai tu.
fir agar jawaab nahi mile toh
dard ban baithta hai tu.
yaar kaash pet ki tarah
tujhe bhi roz saaf kar sakta.
kabhi kabhi to aata hai mann me ki
kaha se itne sawaal paida karta hai tu ? ?
aur kyun hamesha jawaabon ka bhooka rehta hai tu ? ?


No comments:

Post a Comment