Sunday, December 2, 2012

i love her, i love her, i love her and that's why i am gonna wait for her. . .

uff this rejection of yours
is killing me

I am stuck in a position
and you have left me
without uttering a single word.
You should have helped me
I should have asked for help . .
but you are too busy
with your own world
and problems and people.
I don't want to act
like clingy again.
You know how it feels
and I appreciate that
You are good, caring, polite
I am bad, careless and impolite
24*7 I only think of you
Its only you who
flows in my blood mind soul.
who gives me energy
a hope to live
a hope which i myself
don't know when is
going to be a reality.
Yet everyday i am fighting
with myself for you only
Its hard to fight alone
please don't leave me in the middle.

Tuesday, October 2, 2012

Miss Muse !!! bujha do in jalti hui lau ko, buhja do . . .


arz kiya hai, maaf kijiye
arz to kya khaak kiya hai,
sab kuch unhi ka 'diya' hai,
in diyo ki jalti lau ko bhuja do
apni ek-ek phoonk se . . . . .

dil ki bagiyaa meri aur ye phool tumhare liye :))


1)
main khush hoon tumhari wajah se
meri khushi pe bas tumhara hi haq hai
par affsos filhaal tum nahi ho mere saath
ye duniyawalon ka luck hai

2)
khil-khilaata hua chehra tera,
shararat se bhari aankhein,
na chahte huye bhi ye badtameez,
facebook ki khidki se jhaanke


3)
ek wo door kahi baithi rahi
taaktey ek safed parde ko
jisse baarish ki tarah 
tapkte rahe alfaaz raat bhar
wo bheeg gayi
alfazo ki baarish me.
main sukha pada 
uski yaadon me :)

4)
yes :( there is a void, 
when you avoid :(

5)
khaana khaate waqt bhi usi ke
baare me soch soch kar muskurata hoon,
gar ye ishq ki nishaniyaa hai to,
main aise hi ishq farmaata hoon :)))

6)
mere sarkaar !!!
na ikraar karte hai,
na inkaar karte hai,
bus pehlu me baithe rehte hai
aur pyaar karte hai :(

7)
tere ishq ki tadap me inta roya,
ki murde bhi uthkar mere saath 
maatam lagaane lage :(( haaaaye

8)
wo jaha baithetey hai
waha mehfil lag jaati hai :))
wo jab sharmaati hai . . . .
to suraj ki kirne bhi 
palke jhapkati hai :))



9)
kab tak yun duniya k
jhamalo me jhulasti rahogi
meri baahi me aa jao
hasti rahogi muskurati rahogi :) 

10)
unki jhalak paane k liye fb par utarna padta hai,
kaisa ishq hai yaaro internet se guzarna padta hai. 
#aagkadariyagayetellene :P

11)
tum bhi uljhee hui ho 
sharm me,
main bhi jhijhak k 
maare maraa pada hoon,
hamare beech ki 
ye hayaa bhi 
sharmaaye hui hai :-)

12)
subconcious me literally 
baithi hui ho tum
jab chahe bedhadak
chali aati ho tum
itna mujhe kyun satati ho tum :((

13)
agar dil ki baat 
dil ke andar hi rahegi to 
dil kharab ho jaayega
mujhe mere dil ki baat 
kehne do :)

14)
raat chali jaaye
teri yaad na jaaye
agla din aa jaaye
teri-meri raat na jaaye 

15)
kyun itni jaldi maayus ho jaata hai dil ?
kyun itni jaldi khush ho jaata hai dil ?
ye dil ki harkate bhi ajeeb hai
ek pal me samnadar to 
ek pal me boond ho jaata hai dil :(

16)
galti se haath rakha
dil pe dekha toh
wo tha hi nahi
tum aayi ho jab se
maine apne dil ko
tabse dehkha hi nahi

17)
kya khatarnaak reply deti hai wo 
isharo isharo me hi jaan leti hai wo

18)
kaan taras gaye 
tumharai awaaz sunne k liye
tumhi batao kaise
tumhari marzi ke
bina tumhe phone lagaoo ?

19)
dil par chhale pad gaye
kaate alag nikal aaye
tumhi batao hum kis
hakim ya vaid k paas jaaye ?

20)
pehli nazar ka 
pehla pyaar
uski muskurahat
usi ka inkaar

21)
tu toh na bataye kuch
teri aankein sab bataye
dil ko liye tu kaise
dil hi jalaaye ??

22)
ik uski jhalak deti hai 
nikhaar mujhe
nahane ki baat 
ab lagti hai bekar mujhe :P

23)
ek teri hi tasveer 
tairti rehti hai zehen me
main isilye aajkal
bheega bheega sa rehta hoon
dooba dooba sa rehta hoon :))) 

24)
milogi to achcha lagega
batein karogi to achcha lagega
tere ishq ka zakhmi hoon main
thoda dua salaam karogi
to achcha lagega :))))








jab we met ;)


pehli nazar ka pehle pyaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaar . . . .

mulkaat jab humari hui,
ek muskaan di thi tumne,
maine nazarandaaz kiya tumhe
fir sochta raha tumhare baare me
logo ne poocha mujhse
kaun hai ye ?? kaha se aayi hai ??
maine shuruwat ki guftagu ki
tumne bhi pyaar se bataya sabkuch
fir saath rahe hum tab tak
jab tak nahi khatam hua khana mera
fir dono ne jheejhak  jheejhak ke
dher saari baatein ki
fir dono baith gaye saath
waha band darwaze k bahar
thodi bahut baatein ki
fir agle din bhi yunhi
kashmakash me jeete rahe
sharmaate rahe aur
zindagi k haseen palo ko
gawaate rahe :(
dono hi kyun naa jaane
apne aap me hi
ishq ka geet
gungunaate rahe
uski kaatilano nazron
ka ghayal main ab bhi
hoon lahuluhaan
aur wo hai
ki khud ko paak saaf batate rahe
ye kaisa ishq hai zaalim ki
aap musskuraate rahe aur
hum pyaar chupate rahe :)))




Sunday, September 16, 2012

kya hai ye ? main nahi jaanta. par kuch to hai . . .


ek kuch alag sa hi ehsaas hone laga hai peechle kai dino se.
TV dekhna ka mann bilkul bhi nahi karta. aankh kaan door bhaagte hai TV se 
mano jaise ye TV koi bhoot ho.
Akhbaar ka bhi wahi haal nazre fer leta hoon newspaper se main.
pata nahi kyun padne ka mann bhi nahi karta.

shayad isiliye kyunki ye sab har roz ek hi kahani batate hai, ek hi aakde dikhate hai.

ye sab to thik hai fb aur twitter par bhi aajkal jaane ka mann nahi karta. kya karun waha 
jaakar. pehle bahut der tk pada rehta tha fb aur twitter par. lekin usse bhi dheere dheere man uchat-ta 
jaa raha hai.
                   kyunki aap kitna bhi kuch keh kar le Virtual to aakhir Virtual hi hota hai :p

haan ye sab to khair thik hai. mann k andar ek ajeeb sa ehsaas daud raha hai. wo kya hai mujhe
wo samajh nahi aa raha. matlab ek alag hi mukaam par pahuch gaya hoon main jaha ab mujhe
duniya bekaar lagne lagi hai. itni bekaar ki main duniya ko flush kar dena chahata hoon.
kahi bhi mann nahi lagata ek chehra  hai jo daudta rehta hai dimaag  me.
usi ki yaad, usi ki hansi, usi ki muskurahat, uske baat karne k ada, usi ki yun mujhe dekhne ki ada
usi ki soch me doobe rehne ki ada, usi ki baatien, usi ka sab kuch.
bus ek wahi hai jo mujhe ab is poori qaiynaat me achchi lagti hai. 
ek usi se baatein karna pasand hai.
ek usi k baare me sochna achcha lagta hai
ek usi ka chehera subah neend khulte jhalakta hai. 
ek usi ka chehra raat ko neendo me sapno me
ek wahi to hai jo mujh par chahyi hui aasman ki tarah.
ek wahi hai jo girti hai mujh par bijliyon ki tarah
ek wahi hai jo milti hai  mujhe dhoop me baaris ki tarah
ek wahi hai jo deti hai muskaan mujhe bina wajah
ek usi ka khayaal roshan kar deta hai chehra mera
ek wahi to bachi hai iss duniya me
jo majboor karti hai mujhe jeene k liyee
warna iss duniya me rakha kya hai
gar ye ishq ki nishaaniya hai
to fir isme bura kya hai ;) 
 

Saturday, July 28, 2012

Aishwary R. Dhanush : Excellent Director and I love "3"

3 - what a love story !!! <3
superhit hai. maine socha bhi nahi ki ye movie aisi hogi. I thought ye bhi regular South filmo ki tarah hogi jisme na yakeen karne wala aur apko hasane waale 'Action' hota hai. Par main to bilkul galat saabit hua.
Ye to bahut hi pyaari Love Story hai. Vicky Donor k baad agar koi love story mujhe achchi lagi hai to wo '3' hai.
     Aishwary R. Dhanush waakai ek Talented Director hai. Unki lagaam poori film par nazar aati hai. Its like ki Jaisa unhone Imagine kiya tha thik vaisa hi wo Parde par utaar rahi hai. 1-1 frame me unki lagan aur apni Kahaani se pyaar saaf dilkhta hai. Mujhe isse lagaao isiliye bhi hai kyunki main bhi school days me kuch aisa hi karta tha. khaaskar Tution waala sequence. Waha to jaisi kisi dost ki Girfriend aati to sab hooting shuru kar dete hai aur dheere se awaaz aati 'Yaar teri waali aa gayi'. Music bhi achcha hai haalaki lyrics maine Subtitles k thru  samjhe aur waakai dil ko chu gaye especially. "Kannazhagae, Perazhagae,
Penazhagae, Ennazhagae"  i.e.  "Hey beautiful eyed girl, hey gorgeous girl
Hey beautiful girl, my beautiful girl"  jaisa ki translation me likha hai :)           
          Acting k maamle me Dhanush ka jawaab nahi. Unhone apna 100% diya hai.  Unke Freind Senthil ka role jinhone kiya wo bhi kamaal hai. Shruti Hasan inhone thik  vaisa hi kiya jaisa Director saahiba ne kaha aisa mujhe laga. Aur unhone achcha bhi kiya hai. par aisa laga mujhe ki unki acting  me unki taraf se koi contribution nahi hai. wo jab bhi frame me aati aisa lagta ki unhe Aishwarya Jee ne jaisa kaha hai bus unhe vaisa hi karna so unki achchi acting ka shreya bhi Director ko jaata hai.
Overall its a Perfect Love Story wid a Social Message.

ummm haan 'its not a review' its just my feelings for the film.

aur mujhe lagta hai ki 'Vicky Donor aur 3 deserves a national award'
kyunki love story + social issues par itni badiya filmein aajkal bahut kam banti hai.

Sunday, July 15, 2012

agar main uska driver tha, to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?


ab baithe huye shaam ho aayi hai

ab kaha jaynegey.

zindagi guzar gayi is shaam ko dekhtey dekhtey

ab naya ghar kaha basayengey.

kaha thaa usne kahi ghumney chalo

main kehta raha haan dekhta hoon

safar kab poora hua ghar se office ka

office se ghar ka ye sochta rehta hoon.

ab to bachche bhi itni door chale gaye

ki unka humse milney ka mann nahi kartaa.

shayad unhe bhi meri tarah safar karney me

samay bahut lagtaa hai.

ghar se office aur office se ghar

me samay nikalta hai aur

isi hisaab me mere beta safar karta hai.

maine apni zindagi apney bachcho ki

khwahish poori karne me kaat di.

aur ab mera ladka apni zindagi

mere pote ki khushiyon me bita dega.

fir is safar ka musafir kaun tha

kaun mujhe samjhayega.?

agar main uska driver tha

to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?

main aur meri biwi ne saarey station chod diye

har station par ek naya shehar tha

nayi umeed naya josh

par ab humdono akeley hai

aur maut tak ka safar tay kar rahe hai.

bina kisi stop ke.

mann me aata hai ki khich doon

is safar ki emergency chain.

par zurmana fir meri biwi ko bharnaa paadega.

isiliye intezaar kar raha hoon chuchaap

kab ye maal gadi rukegi.

aur main ek naye sansaar me azaad ghumoongaa.

bachpan me rajdhaani ki tarah bhaaga karta tha

fir dheerey dheerey zindagi local ki bheed me fas gayi

uske baad ghutan badne lagi badne lagi

aur ab budhaape me zindagi maal gaadi ban gayi

jiska jaaney ka intezaar har koi badi besabri se karta hai.

kyunki tabhi fatak khulta hai naye safar k liye :(

Thursday, March 15, 2012

ye din bhi zaroor aayega tum intezaar karna mera :)


When I get older,
I will propose her,
They will call me lover,
She'll be happy then :))))




Sunday, January 15, 2012

aaj bhi wo . . . . . .




आज वो कबूतरों के साथ खेल रही थी
और मैं चिड़ियों को दाना डाल रहा था.
आज कामवाली ने झाड़ू नहीं किया,
और मैं खुद को सवांर रहा था
आज वो खिड़की पे नहीं आई,
और मैं पड़ोसियों से बतिया रहा था
आज पड़ोसी का नया फ्रिज आया,
और मैं मटके का पानी पी रहा था
आज अखबार वाला  नहीं आया
और मैं उसको गालियाँ  दे  रहा था
जब अखबार वाला आता है
तो मैं सरकार को गालियाँ देता हूँ
आज फिर काले बादल घिर आये
और मैं फिर से रेनकोट  भूल गया
आज भी माँ स्कूल  आई थी
और मैं फिर टिफिन  भूला था
आज भी बच्चों  ने कुत्ते को पत्थर मारा
और मैं चुपचाप तमाशा देख रहा था
आज भी उसका इंतज़ार कर रहा हूँ
और वो है की आती नहीं
आज भी मैं  लिखता हूँ
पर कोई है की  समझता नहीं . . . .