Saturday, July 28, 2012

Aishwary R. Dhanush : Excellent Director and I love "3"

3 - what a love story !!! <3
superhit hai. maine socha bhi nahi ki ye movie aisi hogi. I thought ye bhi regular South filmo ki tarah hogi jisme na yakeen karne wala aur apko hasane waale 'Action' hota hai. Par main to bilkul galat saabit hua.
Ye to bahut hi pyaari Love Story hai. Vicky Donor k baad agar koi love story mujhe achchi lagi hai to wo '3' hai.
     Aishwary R. Dhanush waakai ek Talented Director hai. Unki lagaam poori film par nazar aati hai. Its like ki Jaisa unhone Imagine kiya tha thik vaisa hi wo Parde par utaar rahi hai. 1-1 frame me unki lagan aur apni Kahaani se pyaar saaf dilkhta hai. Mujhe isse lagaao isiliye bhi hai kyunki main bhi school days me kuch aisa hi karta tha. khaaskar Tution waala sequence. Waha to jaisi kisi dost ki Girfriend aati to sab hooting shuru kar dete hai aur dheere se awaaz aati 'Yaar teri waali aa gayi'. Music bhi achcha hai haalaki lyrics maine Subtitles k thru  samjhe aur waakai dil ko chu gaye especially. "Kannazhagae, Perazhagae,
Penazhagae, Ennazhagae"  i.e.  "Hey beautiful eyed girl, hey gorgeous girl
Hey beautiful girl, my beautiful girl"  jaisa ki translation me likha hai :)           
          Acting k maamle me Dhanush ka jawaab nahi. Unhone apna 100% diya hai.  Unke Freind Senthil ka role jinhone kiya wo bhi kamaal hai. Shruti Hasan inhone thik  vaisa hi kiya jaisa Director saahiba ne kaha aisa mujhe laga. Aur unhone achcha bhi kiya hai. par aisa laga mujhe ki unki acting  me unki taraf se koi contribution nahi hai. wo jab bhi frame me aati aisa lagta ki unhe Aishwarya Jee ne jaisa kaha hai bus unhe vaisa hi karna so unki achchi acting ka shreya bhi Director ko jaata hai.
Overall its a Perfect Love Story wid a Social Message.

ummm haan 'its not a review' its just my feelings for the film.

aur mujhe lagta hai ki 'Vicky Donor aur 3 deserves a national award'
kyunki love story + social issues par itni badiya filmein aajkal bahut kam banti hai.

Sunday, July 15, 2012

agar main uska driver tha, to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?


ab baithe huye shaam ho aayi hai

ab kaha jaynegey.

zindagi guzar gayi is shaam ko dekhtey dekhtey

ab naya ghar kaha basayengey.

kaha thaa usne kahi ghumney chalo

main kehta raha haan dekhta hoon

safar kab poora hua ghar se office ka

office se ghar ka ye sochta rehta hoon.

ab to bachche bhi itni door chale gaye

ki unka humse milney ka mann nahi kartaa.

shayad unhe bhi meri tarah safar karney me

samay bahut lagtaa hai.

ghar se office aur office se ghar

me samay nikalta hai aur

isi hisaab me mere beta safar karta hai.

maine apni zindagi apney bachcho ki

khwahish poori karne me kaat di.

aur ab mera ladka apni zindagi

mere pote ki khushiyon me bita dega.

fir is safar ka musafir kaun tha

kaun mujhe samjhayega.?

agar main uska driver tha

to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?

main aur meri biwi ne saarey station chod diye

har station par ek naya shehar tha

nayi umeed naya josh

par ab humdono akeley hai

aur maut tak ka safar tay kar rahe hai.

bina kisi stop ke.

mann me aata hai ki khich doon

is safar ki emergency chain.

par zurmana fir meri biwi ko bharnaa paadega.

isiliye intezaar kar raha hoon chuchaap

kab ye maal gadi rukegi.

aur main ek naye sansaar me azaad ghumoongaa.

bachpan me rajdhaani ki tarah bhaaga karta tha

fir dheerey dheerey zindagi local ki bheed me fas gayi

uske baad ghutan badne lagi badne lagi

aur ab budhaape me zindagi maal gaadi ban gayi

jiska jaaney ka intezaar har koi badi besabri se karta hai.

kyunki tabhi fatak khulta hai naye safar k liye :(