Tuesday, April 13, 2010

Nahi chalta......

din kab nikal jaata hai

pata nahi chalta.........

shaam kab guzar jaati hai.......

pata nahi chalta........

fir ye kaali raat me kya hota hai

kise khabhar.............par

kuch nashe me peet-tay hai gharwaalon ko

aur mohalle ko pata nahi chalta.

kaisa samaaj hai ye ? ? ?

saarey galat kaamo k gawah hai ye sab

fir court me koi kuch kyun nahi bolta ? ? ?

ghoot ghoot ke jeena pasand hai........

kyuni sach bol kar

inka ghar nahi chalta........

aakhir kyun khauf me jeetay hai log ? ? ?

darr me jeenay se koi mard nahi banta.

Go-row ko gaye 6o saal se upar ho gaya

fir kyun ghulami se jee nahi bhartaa.

mat de is jhoot ka saath........

kyunki is jhoot se.......

kisi ka ghar nahi chalta.

Monday, April 12, 2010


bahar ye jo buldingey hai.
inhe dekhkar dum ghoot-ta hai.

gaon ki yaad aati hai
jiske aangan se khula aasman dikhta hai.

bahut achchi neend aati thi
uss khule aangan me khuli khaat par.

upar jab bhi dekhta hoon
to door door tak sirf wo
gaada neela aasman dikhta hai.
jis par khoob saare
sitaare saje hue hote hai.
fir thandi hawayein chalti
jo mere mann me gudgudi karne lagti hai.

aaj jab in khatrnaak band bulding ko dekhta hoon
to mujhe gaon ki yaad aa jaati hai.........


waha sab kuch kitna khula khula hai..........


Somwaar cha aai cha ghoo......

hello bhailog,

wassup manjhe kay mantos?

So aaj ki date 12 april 2010. aaj college me test tha jo screening humne dekhi nahi uspar. matlab generally addhe se jaada bachche so jaate hai screening k dauraan.

ab kya kare 6-8 ghante ki neend compulsry hai na aisa main nahi Science kehta hai.

ab yaha sab hai clg waale to 3-4 baje k pehle neend aati nahi hai. koi noodles dhoondat hai to koi ciggarete poochta hai. aur ab kuch bade log hai unke to kuch aur hi shauk hote hai. aap samjh rahe hai na. Yaha main border par rehta hoon.

wo kya hua ki Viman Nagar ko ab finally 2 tukdo me Pune Municial ne "Officially" baat diya hai.

to isse alag hokar jo naya nagar bana hai main us nagar ka vaasi hoon. Sakore Nagar jus got Indepnedence last sem. Yahoo.

haan to main kaha tha main keh raha tha raat ko........raat ko neend to aati nahi. ab ye net naam kida hai wo sabke paas hai. aur jionke paas nahi wo ya kisi hotel ki maar lete hai ya kisi hostel ki le lete hai ya fir seedha school ka net use karte hai. matlab sab apne hisaab se NET jugaad hi lete hai.

ab net pe aadmi do hi kaam karta hai...........apne andar ki bhadaas jo wo dinbhar dabaa k rakhta hai clg me seedha facebook par ya agar duniyase ek kadam peeche hai to Orkut pe ya agar duniya se do kadam aagey hai to Twitter pe apna gussa nikalta hai. zaroori naih hai gussa.

Maine Gussa isiliye likha kyunki hum padhe likhe Sabhya log hai hum jhagda nahi karte PeeaaR se baat ko sambhalte hai. Vaise bhi mai to kahoonga ki insaan ki kuch bhi bolne se pehle khud se teen sawaal karne chahiye "kya ye sach hai???" doosra "kya ye Laabhdayak hai???" aur teesra main bhool gaya kyunki ye maine nahi Mahan Sant Sukraat ne kaha tha. sry haan.

haan main baat baat pe aapko kahi aur le jaata hoon. hum baat kar rahe the NEEND k baare me. to ab bachcho ki neend poori nahi hoti to wo uska kota wo Classroom me jaakar complete karte hai. ab ye sahi hai ya galat ye mujhe nahi pata. kyunki naa chahte huye bhi aapko kam se kam 6 ghante neend naseeb ho hi jaati hai. Nature ne body me aisa system hi bana rakha hai. ab raat bhar jaga dimaag din me thak jayega aur so jayega. ok.

haan to test to mera achcha gaya hai. mandi par sawaal the. ki kya is saal pyaaz k bhaav badenge ya girenge? sry mazaak kar raha tha. mandi is a classic movie made by ........naaaaaahiiiiiiii ye main nahi bataongaa google it.

aur haan ab main bor ho raha hoon to thode der baad likhta hoon. ok

tab tak liye good bye n good night.

tumcha aabhari

anurag

Wednesday, March 31, 2010

Ye Pune hai BOSS !!!!!!!!!!

ye Pune hai mere yaar................
kya samjhe Boss.............
to pudhe chala.......
laukar kara.....
ikde ikde............
bhaaooww..............
mausi don chahaa.........
kaka don station deyaaa...................
eecha aai cha......................
saala halkaat...............deesat nai ka tula.............
ye maala marathi yet nai......
yuraaj tu hi to maajha mitr aahe.............
aaja me tula hawa me le chalu...................
jai maharashtra..............
me punekar...........
ye tu kon hai re..............
kuthun aala............
aarrey me munna boltoy........saang kaay mantos.........
ye pratyak chaukaat maajhe pore aahet..........maajhe naadi lagoo nakos............
rakta che paath waathil.......
aatta kombadi palaali...............tangdi dharun.............
ye ganpat band kyun kiya.......baja na..............