Monday, April 12, 2010

Somwaar cha aai cha ghoo......

hello bhailog,

wassup manjhe kay mantos?

So aaj ki date 12 april 2010. aaj college me test tha jo screening humne dekhi nahi uspar. matlab generally addhe se jaada bachche so jaate hai screening k dauraan.

ab kya kare 6-8 ghante ki neend compulsry hai na aisa main nahi Science kehta hai.

ab yaha sab hai clg waale to 3-4 baje k pehle neend aati nahi hai. koi noodles dhoondat hai to koi ciggarete poochta hai. aur ab kuch bade log hai unke to kuch aur hi shauk hote hai. aap samjh rahe hai na. Yaha main border par rehta hoon.

wo kya hua ki Viman Nagar ko ab finally 2 tukdo me Pune Municial ne "Officially" baat diya hai.

to isse alag hokar jo naya nagar bana hai main us nagar ka vaasi hoon. Sakore Nagar jus got Indepnedence last sem. Yahoo.

haan to main kaha tha main keh raha tha raat ko........raat ko neend to aati nahi. ab ye net naam kida hai wo sabke paas hai. aur jionke paas nahi wo ya kisi hotel ki maar lete hai ya kisi hostel ki le lete hai ya fir seedha school ka net use karte hai. matlab sab apne hisaab se NET jugaad hi lete hai.

ab net pe aadmi do hi kaam karta hai...........apne andar ki bhadaas jo wo dinbhar dabaa k rakhta hai clg me seedha facebook par ya agar duniyase ek kadam peeche hai to Orkut pe ya agar duniya se do kadam aagey hai to Twitter pe apna gussa nikalta hai. zaroori naih hai gussa.

Maine Gussa isiliye likha kyunki hum padhe likhe Sabhya log hai hum jhagda nahi karte PeeaaR se baat ko sambhalte hai. Vaise bhi mai to kahoonga ki insaan ki kuch bhi bolne se pehle khud se teen sawaal karne chahiye "kya ye sach hai???" doosra "kya ye Laabhdayak hai???" aur teesra main bhool gaya kyunki ye maine nahi Mahan Sant Sukraat ne kaha tha. sry haan.

haan main baat baat pe aapko kahi aur le jaata hoon. hum baat kar rahe the NEEND k baare me. to ab bachcho ki neend poori nahi hoti to wo uska kota wo Classroom me jaakar complete karte hai. ab ye sahi hai ya galat ye mujhe nahi pata. kyunki naa chahte huye bhi aapko kam se kam 6 ghante neend naseeb ho hi jaati hai. Nature ne body me aisa system hi bana rakha hai. ab raat bhar jaga dimaag din me thak jayega aur so jayega. ok.

haan to test to mera achcha gaya hai. mandi par sawaal the. ki kya is saal pyaaz k bhaav badenge ya girenge? sry mazaak kar raha tha. mandi is a classic movie made by ........naaaaaahiiiiiiii ye main nahi bataongaa google it.

aur haan ab main bor ho raha hoon to thode der baad likhta hoon. ok

tab tak liye good bye n good night.

tumcha aabhari

anurag

2 comments:

  1. keep writing, better to use hindi fonts

    ReplyDelete
  2. thanks Deepankar Bhai........vaise ap sahi keh rahe ho....par main un logo ko bhi dhyaan me rakhta hoon jo hindi nahi pad paatey.

    ReplyDelete