Monday, April 12, 2010


bahar ye jo buldingey hai.
inhe dekhkar dum ghoot-ta hai.

gaon ki yaad aati hai
jiske aangan se khula aasman dikhta hai.

bahut achchi neend aati thi
uss khule aangan me khuli khaat par.

upar jab bhi dekhta hoon
to door door tak sirf wo
gaada neela aasman dikhta hai.
jis par khoob saare
sitaare saje hue hote hai.
fir thandi hawayein chalti
jo mere mann me gudgudi karne lagti hai.

aaj jab in khatrnaak band bulding ko dekhta hoon
to mujhe gaon ki yaad aa jaati hai.........


waha sab kuch kitna khula khula hai..........


No comments:

Post a Comment