Sunday, June 9, 2013

kaun kisse pareshaan?


shehar bhar ki shaam .....    
ka manjar meri annkho k aagey
jhuk raha hai kyun?
main to baitha hoon
kore kagaz k saath
shehar bhar ki
thandi hawayein
baalo ko sahlaaye
paseena sokhe jaaye
aisa kyun kar rahi hai
shehar bhar ki shaam
main akela naa khush naa udaas
bus akela apne saaath
kuch pal wahi purane pal
kuch rozmarra k lamhe
sab baithe hai mere saath
khamoshi aklelepan ki mehfil
unhi ka darbaar meri kalam
mere kuch ashraar kuch
bhule bhatke khyaalo se mehmaan
kuch jaane pehchan armaan
sab apni arzi liye
meri marzi ke intezaar me.
safar me doobe hai soraj kai
maine qaid ki hai uski maut har roz.
main gawah hoon uski maut ka har roz.

No comments:

Post a Comment