Sunday, July 15, 2012

agar main uska driver tha, to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?


ab baithe huye shaam ho aayi hai

ab kaha jaynegey.

zindagi guzar gayi is shaam ko dekhtey dekhtey

ab naya ghar kaha basayengey.

kaha thaa usne kahi ghumney chalo

main kehta raha haan dekhta hoon

safar kab poora hua ghar se office ka

office se ghar ka ye sochta rehta hoon.

ab to bachche bhi itni door chale gaye

ki unka humse milney ka mann nahi kartaa.

shayad unhe bhi meri tarah safar karney me

samay bahut lagtaa hai.

ghar se office aur office se ghar

me samay nikalta hai aur

isi hisaab me mere beta safar karta hai.

maine apni zindagi apney bachcho ki

khwahish poori karne me kaat di.

aur ab mera ladka apni zindagi

mere pote ki khushiyon me bita dega.

fir is safar ka musafir kaun tha

kaun mujhe samjhayega.?

agar main uska driver tha

to kya mera ghar kabhi nahi aayegaa ?

main aur meri biwi ne saarey station chod diye

har station par ek naya shehar tha

nayi umeed naya josh

par ab humdono akeley hai

aur maut tak ka safar tay kar rahe hai.

bina kisi stop ke.

mann me aata hai ki khich doon

is safar ki emergency chain.

par zurmana fir meri biwi ko bharnaa paadega.

isiliye intezaar kar raha hoon chuchaap

kab ye maal gadi rukegi.

aur main ek naye sansaar me azaad ghumoongaa.

bachpan me rajdhaani ki tarah bhaaga karta tha

fir dheerey dheerey zindagi local ki bheed me fas gayi

uske baad ghutan badne lagi badne lagi

aur ab budhaape me zindagi maal gaadi ban gayi

jiska jaaney ka intezaar har koi badi besabri se karta hai.

kyunki tabhi fatak khulta hai naye safar k liye :(

No comments:

Post a Comment