ek kuch alag sa hi ehsaas hone laga hai peechle kai dino se.
TV dekhna ka mann bilkul bhi nahi karta. aankh kaan door bhaagte hai TV se
mano jaise ye TV koi bhoot ho.
Akhbaar ka bhi wahi haal nazre fer leta hoon newspaper se main.
pata nahi kyun padne ka mann bhi nahi karta.
shayad isiliye kyunki ye sab har roz ek hi kahani batate hai, ek hi aakde dikhate hai.
ye sab to thik hai fb aur twitter par bhi aajkal jaane ka mann nahi karta. kya karun waha
jaakar. pehle bahut der tk pada rehta tha fb aur twitter par. lekin usse bhi dheere dheere man uchat-ta
jaa raha hai.
kyunki aap kitna bhi kuch keh kar le Virtual to aakhir Virtual hi hota hai :p
haan ye sab to khair thik hai. mann k andar ek ajeeb sa ehsaas daud raha hai. wo kya hai mujhe
wo samajh nahi aa raha. matlab ek alag hi mukaam par pahuch gaya hoon main jaha ab mujhe
duniya bekaar lagne lagi hai. itni bekaar ki main duniya ko flush kar dena chahata hoon.
kahi bhi mann nahi lagata ek chehra hai jo daudta rehta hai dimaag me.
usi ki yaad, usi ki hansi, usi ki muskurahat, uske baat karne k ada, usi ki yun mujhe dekhne ki ada
usi ki soch me doobe rehne ki ada, usi ki baatien, usi ka sab kuch.
bus ek wahi hai jo mujhe ab is poori qaiynaat me achchi lagti hai.
ek usi se baatein karna pasand hai.
ek usi k baare me sochna achcha lagta hai
ek usi ka chehera subah neend khulte jhalakta hai.
ek usi ka chehra raat ko neendo me sapno me
ek wahi to hai jo mujh par chahyi hui aasman ki tarah.
ek wahi hai jo girti hai mujh par bijliyon ki tarah
ek wahi hai jo milti hai mujhe dhoop me baaris ki tarah
ek wahi hai jo deti hai muskaan mujhe bina wajah
ek usi ka khayaal roshan kar deta hai chehra mera
ek wahi to bachi hai iss duniya me
jo majboor karti hai mujhe jeene k liyee
warna iss duniya me rakha kya hai
gar ye ishq ki nishaaniya hai
to fir isme bura kya hai ;)